Jabse mujhe woh mili , Manzil muhje hai mili
Woh hai badi manchalee, Aajaye meri gali
Jabse mujhe
Uski pyaari Aankhon nay , Sapna yeh sajaya
Uski pyaari Baaton nay , Mujko yeh sikhaya
Duniya main aagay agar hai badna (2)
Duniya main sabse ,tu toh pyar karle .
Jabse mujhe
Ek chaand aasma pay , Ek chaand zameen pay
Dil kyun na piglega , Dil toh hai shama pay
Chaand kaho ya , kaho tum Usay shama
Sabse hai pyaari ,woh toh iss jahan main
Jabse mujhe woh mili ,Manzil muhje hai mili
Woh hai badi manchalee, Aajaye meri gali
2. SHUKRIYA MAA
Shukriya
maa Shukriya maa mera tujko shukriya
Pyaari
pyaari baatein teri Dil main rakhunga maa
Chhoti
chhoti yaadein teri Dil main rakhunga maa
Haaan maa
pyaari maaa
Haaan maa
meri maaa
Shukriya
maa Shukriya maa mera tujko shukriya
1)Chalte
Chalte jo gira main
Tunay hi uthaya maa
Jab bhi Aankhen aanso laye
Tune hi hasaya maaa
Shukriya maa Shukriya maa mera tujko
shukriya (full para)
2} Dard
main tha mushkilo main
Tunay hi sambhala maa
Duniya jab saath chhoda
Tuhi tha sahara maaa
Shukriya maa Shukriya maa mera tujko shukriya
(full para)
3) Waqt
guzra pal yeh badla
Tuna badli abh bhi maa
Iss jahan ki saari khushiyan
Tere aagay kuch na maaa
Shukriya
maa Shukriya maa mera tujko shukriya
Pyaari
pyaari baatein teri Dil main rakhunga maa
Shukriya
maa Shukriya maa mera tujko shukriya
Pyaari
pyaari baatein teri Dil main rakhunga maa
Chhoti
chhoti yaadein teri Dil main rakhunga maa
Haaan maa
pyaari maaa
Haaan maa
meri maaa
Shukriya
maa Shukriya maa mera tujko shukriya
3. DIL MERA KHOYA SA THAA
Zindagi nay sikhaya tha Yeh zindagi Kaisa jeena hai
Dil mera abh hai naya Ummeed bhi abh hai nayi
Main chala main chali
Main chali apni gali
Dil mera yeh thaaam kay
Bade pyaar say abh main chali..
Suraj tujhe mera hai salaam
Chanda tujhe mera hai salaam
Tare kaho Mera paigaam
Barish meri hai muskaan
Main chali main chali
Main chali apni gali
Dil mera yeh thaaam kay
Bade pyaar say abh main chali..
Yaro mere suno meri baat..
Aao cheday koi naya saaz
Leke chale haton main haath
Dil yeh bahut khush hai na aaj
Dil mera soya sa tha, khoya sa tha... Iss bheed main
Zindagi nay sikhaya tha Yeh zindagi Kaisa jeena hai
No comments:
Post a Comment